achcha hua jo waqt ne pahre laga diye
ab yun bhi wapas us gali me jata kaun
koi hum khayal o humzaban shahar me nahin
khule the mere darwaze lekin aata kaun
kitne afsane haqeeqat k likhe hain maine
jinhe is khwab parast duniya ko sunata kaun
kisi ne haal jo pucha to lab khamosh rahe
hazron zakhm hain seene me par dikhata kaun